Dua

Standard

Ek arsa hua tumhe gaye,

Ek arsa hua hume, jeeye jeeye,

Jab tum the, haste the saath, jindagi bhi ji,

Ankhon se tapkti, tumhari chanchal, hasi bhi pi,

Betahasha palo ko, humne youn guzarne diya,

Bus un lamho ko, dil ki tijori main kaid hi na kiya,

Kehne ko to waqt hi hai, gujar gaya,

Har pal, apne main kai lambi sadiya liye.

 

Pata hota ki tum chale jaoonge,

To band kar muthi main rakh leti unhe,

Tumhari har chuan ko, rom rom main bher leti main,

Har pyar, har takrar, har shararat, har ek nazar ko,

Dil ki gahariyon se jakad leti main,

Bahut mushkil hain jeena tumhare bin,

In siskiyon main, tumhari awaz sun leti kahi,

Bus youn hi  kuch aur tumhe, jee leti thi main.

 

Kaash pal do pal, aur tumhara saath hota,

Apni jindagi main, chaar pal aur jod leti main,

Woh chaar pal, jinke sahare, sadiyan gujaar leti,

Khud jeeti aur tumhe murat main utar leti,

Ek halka abhaas bhi hota, ki itna hi saath hamara,

Khuda se tumhe, aur maang leti main,

Duan main tumhe maang leti thi main.

 

Leave a Reply

Please log in using one of these methods to post your comment:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s